bikherun rang KHushbu ko masal dun
bikherūñ rañg ḳhushbū ko masal duuñ
mile jo phuul chehra noch Dālūñ
javāñ ho kar bhī bachchoñ kī sī aadat
khilaunoñ se abhī tak kheltā huuñ
samundar meñ huuñ mauj-e-muztarib sā
magar sahrāoñ jaisī pyaas rakhkhūñ
vo mujh meñ Dhal rahā hai aur maiñ us meñ
ḳhud apnā sā koī lahja TaTolūñ
mizāj-e-gul-parastī gudgudā.e
shamīm-e-gul pe us kā naam likkhūñ
bikherun rang KHushbu ko masal dun
mile jo phul chehra noch Dalun
jawan ho kar bhi bachchon ki si aadat
khilaunon se abhi tak khelta hun
samundar mein hun mauj-e-muztarib sa
magar sahraon jaisi pyas rakhkhun
wo mujh mein Dhal raha hai aur main us mein
KHud apna sa koi lahja TaTolun
mizaj-e-gul-parasti gudgudae
shamim-e-gul pe us ka nam likkhun
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 387)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.