bikhra bikhra hasti ka shiraaza hai
bikhrā bikhrā hastī kā shīrāza hai
dīvāroñ par ḳhuun abhī tak taaza hai
tum par koī vaar na hogā pīchhe se
dost nahīñ ye dushman kā darvāza hai
ik ik kar ke saarī qadreñ TuuT ga.iiñ
ye apnī ḳhuddārī kā ḳhamyāza hai
kaun kisī kī suntā hai is bastī meñ
chīḳh tumhārī sahrā kā āvāza hai
andar se sab qātil haiñ sab ḳhūnī haiñ
chehroñ par iḳhlās kā jin ke ġhāza hai
ham-sāya hī ham-sā.e ko lūTegā
'rahbar' merā aisā ab andāza hai
bikhra bikhra hasti ka shiraaza hai
diwaron par KHun abhi tak taza hai
tum par koi war na hoga pichhe se
dost nahin ye dushman ka darwaza hai
ek ek kar ke sari qadren TuT gain
ye apni KHuddari ka KHamyaza hai
kaun kisi ki sunta hai is basti mein
chiKH tumhaari sahra ka aawaza hai
andar se sab qatil hain sab KHuni hain
chehron par iKHlas ka jin ke ghaza hai
ham-saya hi ham-sae ko luTega
'rahbar' mera aisa ab andaza hai
- Book : Mauj-e-Sarab (Pg. 92)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Rehbar Jaunpuri (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.