bikhra hai kai bar sameTa hai kai bar
bikhrā hai ka.ī baar sameTā hai ka.ī baar
ye dil tire atrāf ko niklā hai ka.ī baar
jis chāñd ke dīdār kī hasrat meñ hai duniyā
vo shaam Dhale ghar mire utrā hai ka.ī baar
sun kar tujhe mad.hosh zamāna hai mujhe dekh
jis ne tirī āvāz ko dekhā hai ka.ī baar
afsos ki hai ishq-e-yagāna se bahut duur
yaaro tumheñ har roz jo hotā hai ka.ī baar
bikhra hai kai bar sameTa hai kai bar
ye dil tere atraf ko nikla hai kai bar
jis chand ke didar ki hasrat mein hai duniya
wo sham Dhale ghar mere utra hai kai bar
sun kar tujhe madhosh zamana hai mujhe dekh
jis ne teri aawaz ko dekha hai kai bar
afsos ki hai ishq-e-yagana se bahut dur
yaro tumhein har roz jo hota hai kai bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.