bikhre jab KHwab to haalat ne rone na diya
bikhre jab ḳhvāb to hālāt ne rone na diyā
umr bhar ġhairat-e-jazbāt ne rone na diyā
raah pur-ḳhār thī phūloñ se ravish saj na sakī
phir bhī dushvārī-e-hālāt ne rone na diyā
go ki ruḳhsat huī sat-rang dhanak aap ke saath
hijr kī raat meñ barsāt ne rone na diyā
the vo bebas sitam-e-dahr pe jo rote rahe
dil thā pur-azm to sadmāt ne rone na diyā
dil shikasta the magar hausla rakhte the 'kiran'
ishq meñ ġham kī rivāyāt ne rone na diyā
bikhre jab KHwab to haalat ne rone na diya
umr bhar ghairat-e-jazbaat ne rone na diya
rah pur-KHar thi phulon se rawish saj na saki
phir bhi dushwari-e-haalat ne rone na diya
go ki ruKHsat hui sat-rang dhanak aap ke sath
hijr ki raat mein barsat ne rone na diya
the wo bebas sitam-e-dahr pe jo rote rahe
dil tha pur-azm to sadmat ne rone na diya
dil shikasta the magar hausla rakhte the 'kiran'
ishq mein gham ki riwayat ne rone na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.