bikhre jo KHalaon mein ye chand sitare hain
bikhre jo ḳhalāoñ meñ ye chāñd sitāre haiñ
kuchh ḳhvāb tumhāre haiñ kuchh ḳhvāb hamāre haiñ
kyā ḳhuun rulāte haiñ tanhā.ī ke aalam meñ
vo lamhe mohabbat ke jo saath guzāre haiñ
mumkin hai zamāne ko phir un kī zarūrat ho
ye amn-o-mohabbat ke anmol nazāre haiñ
yārab mirī kashtī kā ab tū hī muhāfiz hai
tūfān muqābil hai aur duur kināre haiñ
ye jhūTī siyāsat aur matlab ke numā.inde
kahte haiñ baḌho aage ham saath tumhāre haiñ
be-qadr zamāne ko ehsās nahīñ āḳhir
motī kī tarah 'rahbar' ye ashk hamāre haiñ
bikhre jo KHalaon mein ye chand sitare hain
kuchh KHwab tumhaare hain kuchh KHwab hamare hain
kya KHun rulate hain tanhai ke aalam mein
wo lamhe mohabbat ke jo sath guzare hain
mumkin hai zamane ko phir un ki zarurat ho
ye amn-o-mohabbat ke anmol nazare hain
yarab meri kashti ka ab tu hi muhafiz hai
tufan muqabil hai aur dur kinare hain
ye jhuTi siyasat aur matlab ke numainde
kahte hain baDho aage hum sath tumhaare hain
be-qadr zamane ko ehsas nahin aaKHir
moti ki tarah 'rahbar' ye ashk hamare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.