bikhre paDe the hum hamein yakja na kar saka
bikhre paḌe the ham hameñ yakjā na kar sakā
kaisā ḳhudā thā koī karishma na kar sakā
TuuTā thā ek ḳhvāb laḌakpan meñ us ke baad
tā-umr maiñ koī bhī tamannā na kar sakā
ai āsmān tuf hai tirī vus.atoñ pe tuf
ik ḳhitta is zamīn pe saaya na kar sakā
tū bhī to mere rañg meñ aayā na umr bhar
maiñ bhī to apne aap ko tujh sā na kar sakā
vo kaam aaj qashqa lagāne se ho gayā
maulānā sāhab kā jo amāma na kar sakā
dīvān-e-'mīr'-o-'jaun' ne jo kaam kar diyā
duniyā kā koī sā bhī sahīfa na kar sakā
bikhre paDe the hum hamein yakja na kar saka
kaisa KHuda tha koi karishma na kar saka
TuTa tha ek KHwab laDakpan mein us ke baad
ta-umr main koi bhi tamanna na kar saka
ai aasman tuf hai teri wusaton pe tuf
ek KHitta is zamin pe saya na kar saka
tu bhi to mere rang mein aaya na umr bhar
main bhi to apne aap ko tujh sa na kar saka
wo kaam aaj qashqa lagane se ho gaya
maulana sahab ka jo amama na kar saka
diwan-e-'mir'-o-'jaun' ne jo kaam kar diya
duniya ka koi sa bhi sahifa na kar saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.