bikne wale ko bharosa hai bahut bazar par
bikne vaale ko bharosa hai bahut bāzār par
phuul rakkhā rah gayā bolī lagī hai ḳhaar par
chaal sūraj chal rahā hai khel hai din-rāt kā
dhuup āñgan meñ utar ke chaḌh ga.ī dīvār par
jab davā denī thī chārāgar ne bas itnā kiyā
ik nayā ilzām us ne rakh diyā bīmār par
haar meñ rahte haiñ chhup ke jiit jaane ke sabaq
hausla zinda hai mātam kyoñ manā.eñ haar par
laḌ ke tūfāñ se vo kashtī paar lag jaatī magar
nā-ḳhudā ko thā yaqīñ ḳhud se ziyāda dhaar par
har ḳhushī be-rang lagtī dil kahīñ lagtā nahīñ
duur ham rahte haiñ ghar se jab kisī tyauhār par
bikne wale ko bharosa hai bahut bazar par
phul rakkha rah gaya boli lagi hai KHar par
chaal suraj chal raha hai khel hai din-raat ka
dhup aangan mein utar ke chaDh gai diwar par
jab dawa deni thi chaaragar ne bas itna kiya
ek naya ilzam us ne rakh diya bimar par
haar mein rahte hain chhup ke jit jaane ke sabaq
hausla zinda hai matam kyon manaen haar par
laD ke tufan se wo kashti par lag jati magar
na-KHuda ko tha yaqin KHud se ziyaada dhaar par
har KHushi be-rang lagti dil kahin lagta nahin
dur hum rahte hain ghar se jab kisi tyauhaar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.