bila-unwan afsana kahega tum bhi sun lena
bilā-unvān afsānā kahegā tum bhī sun lenā
ḳhirad kī baat dīvāna kahegā tum bhī sun lenā
rumūz-e-ishq dīvāna kahegā tum bhī sun lenā
vo kaabe ko sanam-ḳhāna kahegā tum bhī sun lenā
dil-e-ġham-āshnā jab tang aakar zindagānī se
shab-e-furqat kā afsānā kahegā tum bhī sun lenā
fidā kyoñ jaan kar detā hai baḌh kar sham-e-mahfil par
kabhī ye raaz parvānā kahegā tum bhī sun lenā
jo bahkī bahkī bātoñ se mohabbat meñ na baaz aa.e
to aalim tum ko dīvāna kahegā tum bhī sun lenā
bahut se raaz is se gulsitāñ ke munkashif hoñge
ik aisī baat vīrāna kahegā tum bhī sun lenā
na bhūleñge qayāmat tak bhī arbāb-e-chaman jin ko
vo bātin aaj dīvāna kahegā tum bhī sun lenā
ye hone ko to dīvāna hai lekin raaz kī bāteñ
ba-andāz-e-kalīmāna kahegā tum bhī sun lenā
abhī kyā hai abhī har ek sāthī zulm kī bāteñ
ba-andāz-e-rafīqāna kahegā tum bhī sun lenā
yahī rind-e-ziyāda-nosh ġharīq-e-be-ḳhudī ho kar
abhī shīshe ko paimāna kahegā tum bhī sun lenā
'razī' merā mazāq-e-āshiqī jis ne uḌāyā hai
vahī ab apnā dīvāna kahegā tam bhī sun lenā
bila-unwan afsana kahega tum bhi sun lena
KHirad ki baat diwana kahega tum bhi sun lena
rumuz-e-ishq diwana kahega tum bhi sun lena
wo kabe ko sanam-KHana kahega tum bhi sun lena
dil-e-gham-ashna jab tang aakar zindagani se
shab-e-furqat ka afsana kahega tum bhi sun lena
fida kyon jaan kar deta hai baDh kar sham-e-mahfil par
kabhi ye raaz parwana kahega tum bhi sun lena
jo bahki bahki baaton se mohabbat mein na baz aae
to aalim tum ko diwana kahega tum bhi sun lena
bahut se raaz is se gulsitan ke munkashif honge
ek aisi baat virana kahega tum bhi sun lena
na bhulenge qayamat tak bhi arbab-e-chaman jin ko
wo baatin aaj diwana kahega tum bhi sun lena
ye hone ko to diwana hai lekin raaz ki baaten
ba-andaz-e-kalimana kahega tum bhi sun lena
abhi kya hai abhi har ek sathi zulm ki baaten
ba-andaz-e-rafiqana kahega tum bhi sun lena
yahi rind-e-ziyaada-nosh ghariq-e-be-KHudi ho kar
abhi shishe ko paimana kahega tum bhi sun lena
'razi' mera mazaq-e-ashiqi jis ne uDaya hai
wahi ab apna diwana kahega tam bhi sun lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.