bin jaane bin parkhe kyon us but par jaan nisar karun
bin jaane bin parkhe kyon us but par jaan nisar karun
Mohammad Javed Anwar
MORE BYMohammad Javed Anwar
bin jaane bin parkhe kyoñ us but par jaan nisār karūñ
merā kyā hai maiñ to jis se mil luuñ us se pyaar karūñ
lafz to mere dil se ho kar apnā rañg dikhāte haiñ
jo sochūñ lafzoñ meñ Dhālūñ aur use shahkār karūñ
apnī ḳhvāhish zāhir kar ke kyoñ halkā mahsūs karūñ
milne ko jab jī chāhe to kyoñ us kā iz.hār karūñ
jo kaifiyyat duurī meñ hai us kī apnī lazzat hai
kyoñ mil kar us ko bhī kho duuñ ḳhud ko bhī be-kār karūñ
us ko buġhz hai mujh se lekin merā dil bhī saaf nahīñ
kyoñ na kaḌvā sach mānūñ maiñ kyoñ us se inkār karūñ
tum ne bhī bas vaqt guzārā maiñ ne bhī bas bāteñ kiiñ
tum is ko gar sach maano to maiñ bhī ye iqrār karūñ
bin jaane bin parkhe kyon us but par jaan nisar karun
mera kya hai main to jis se mil lun us se pyar karun
lafz to mere dil se ho kar apna rang dikhate hain
jo sochun lafzon mein Dhaalun aur use shahkar karun
apni KHwahish zahir kar ke kyon halka mahsus karun
milne ko jab ji chahe to kyon us ka izhaar karun
jo kaifiyyat duri mein hai us ki apni lazzat hai
kyon mil kar us ko bhi kho dun KHud ko bhi be-kar karun
us ko bughz hai mujh se lekin mera dil bhi saf nahin
kyon na kaDwa sach manun main kyon us se inkar karun
tum ne bhi bas waqt guzara main ne bhi bas baaten kin
tum is ko gar sach mano to main bhi ye iqrar karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.