bin koi jurm kiye pahle saza dete hain
bin koi jurm kiye pahle saza dete hain
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
bin koī jurm kiye pahle sazā dete haiñ
phir vahī log rihā.ī kī du'ā dete haiñ
jab kabhī hosh meñ aane kī talab hotī hai
tab mire yaar mujhe jam ke pilā dete haiñ
yuuñ to mushkil hai bahut dard batānā sab ko
so yahī soch ke ham she'r sunā dete haiñ
ḳhālī vaqtoñ ko bitāne ke liye ham aksar
bas tire naam ko likhte haiñ miTā dete haiñ
apne hī taur tarīqoñ ke qalandar haiñ ham
chāheñ to shaah kī nīñdeñ bhī uḌā dete haiñ
shaam hote hī chale aate haiñ kuchh farzī ḳhayāl
kyā mire lafz unheñ ghar sā mazā dete haiñ
ham pe jab 'ishq jatāne kā savāl aatā hai
ham tirī maañg meñ sindūr sajā dete haiñ
bin koi jurm kiye pahle saza dete hain
phir wahi log rihai ki du'a dete hain
jab kabhi hosh mein aane ki talab hoti hai
tab mere yar mujhe jam ke pila dete hain
yun to mushkil hai bahut dard batana sab ko
so yahi soch ke hum she'r suna dete hain
KHali waqton ko bitane ke liye hum aksar
bas tere nam ko likhte hain miTa dete hain
apne hi taur tariqon ke qalandar hain hum
chahen to shah ki ninden bhi uDa dete hain
sham hote hi chale aate hain kuchh farzi KHayal
kya mere lafz unhen ghar sa maza dete hain
hum pe jab 'ishq jatane ka sawal aata hai
hum teri mang mein sindur saja dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.