bin tere mukammal koi manzar nahin hota
bin tere mukammal koī manzar nahīñ hotā
pahle kī tarah dil mirā muztar nahīñ hotā
zarra jo zamīñ kā ho vo aḳhtar nahīñ hotā
bhaTkā de jo manzil se vo rahbar nahīñ hotā
masrūf hai har shaḳhs so duniyā meñ magan hai
ab ḳhud ko mayassar bhī vo aksar nahīñ hotā
alfāz se ā.īna-e-dil chuur huā hai
lafzoñ se jo zālim koī patthar nahīñ hotā
aadam kī tabī'at ne khilā.e haiñ 'ajab gul
honā use insāñ bhī mayassar nahīñ hotā
haiñ zarf kī taqsīm ke qā.em-shuda darje
dariyā to kisī taur samundar nahīñ hotā
kuchh aadmī aise haiñ jinheñ laakh paḌhā lo
chāhat kā sabaq hī unheñ azbar nahīñ hotā
saudā na samātā jo tujhe 'ishq kā 'shamsa'
har shaḳhs ne thāmā huā patthar nahīñ hotā
bin tere mukammal koi manzar nahin hota
pahle ki tarah dil mera muztar nahin hota
zarra jo zamin ka ho wo aKHtar nahin hota
bhaTka de jo manzil se wo rahbar nahin hota
masruf hai har shaKHs so duniya mein magan hai
ab KHud ko mayassar bhi wo aksar nahin hota
alfaz se aaina-e-dil chur hua hai
lafzon se jo zalim koi patthar nahin hota
aadam ki tabi'at ne khilae hain 'ajab gul
hona use insan bhi mayassar nahin hota
hain zarf ki taqsim ke qaem-shuda darje
dariya to kisi taur samundar nahin hota
kuchh aadmi aise hain jinhen lakh paDha lo
chahat ka sabaq hi unhen azbar nahin hota
sauda na samata jo tujhe 'ishq ka 'shamsa'
har shaKHs ne thama hua patthar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.