bin tere ab jiya nahin jata
bin tire ab jiyā nahīñ jaatā
chāk-dāman siyā nahīñ jaatā
mujh ko hāsil ḳhushī nahīñ hotī
zahr-e-ġham bhī piyā nahīñ jaatā
mere ḳhat le ke tere kūche meñ
ab koī Dākiyā nahīñ jaatā
dil bahut qīmtī nagīna hai
ye sabhī ko diyā nahīñ jaatā
zikr sab kā hai terī mahfil meñ
naam merā liyā nahīñ jaatā
'ishq ho jaatā hai 'qamar' zāhir
'ishq zāhir kiyā nahīñ jaatā
bin tere ab jiya nahin jata
chaak-daman siya nahin jata
mujh ko hasil KHushi nahin hoti
zahr-e-gham bhi piya nahin jata
mere KHat le ke tere kuche mein
ab koi Dakiya nahin jata
dil bahut qimti nagina hai
ye sabhi ko diya nahin jata
zikr sab ka hai teri mahfil mein
nam mera liya nahin jata
'ishq ho jata hai 'qamar' zahir
'ishq zahir kiya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.