bin tere ek kami rahi barson
bin tire ik kamī rahī barsoñ
duniyā vīrān sī rahī barsoñ
chāñd bas ek pal rukā lekin
mere ghar chāñdnī rahī barsoñ
ashk chhalke nahīñ kabhī lekin
aañkh meñ kuchh namī rahī barsoñ
be-qarārī udaas bistar par
silvaTeñ Dāltī rahī barsoñ
muddatoñ pahle peḌ suukh gayā
phir bhī kuchh chhāñv sī rahī barsoñ
terī ḳhushbū na lā sake jhoñke
merī khiḌkī khulī rahī barsoñ
tere jaane ke ba.ad bhī tujh ko
bebasī sochtī rahī barsoñ
apne TuuTe hue kināroñ ko
ik nadī DhūñDhtī rahī barsoñ
bin tere ek kami rahi barson
duniya viran si rahi barson
chand bas ek pal ruka lekin
mere ghar chandni rahi barson
ashk chhalke nahin kabhi lekin
aankh mein kuchh nami rahi barson
be-qarari udas bistar par
silwaTen Dalti rahi barson
muddaton pahle peD sukh gaya
phir bhi kuchh chhanw si rahi barson
teri KHushbu na la sake jhonke
meri khiDki khuli rahi barson
tere jaane ke baad bhi tujh ko
bebasi sochti rahi barson
apne TuTe hue kinaron ko
ek nadi DhunDhti rahi barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.