bin tere zindagi hogi na basar lagta hai
bin tire zindagī hogī na basar lagtā hai
tujh se ik pal bhī bichhaḌ jā.ūñ to Dar lagtā hai
tum jo rahte ho mire saath to ye ḳhasta makāñ
TuuTā phūTā huā jaisā bhī hai ghar lagtā hai
ye kabhī ashraf-e-maḳhlūq huā kartā thā
ab to ye aadmī kahne ko bashar lagtā hai
ye jo āñgan hai ye bāzār tak aa pahuñchā hai
ab mirā ghar bhī to ik rāhguzar lagtā hai
jis kī buniyād meñ iḳhlās-o-mohabbat ho ravāñ
phir usī peḌ pe ḳhushiyoñ kā samar lagtā hai
merī har baat pe tum ko jo yaqīñ hai 'sāhil'
is qadar sāda-mizājī se bhī Dar lagtā hai
bin tere zindagi hogi na basar lagta hai
tujh se ek pal bhi bichhaD jaun to Dar lagta hai
tum jo rahte ho mere sath to ye KHasta makan
TuTa phuTa hua jaisa bhi hai ghar lagta hai
ye kabhi ashraf-e-maKHluq hua karta tha
ab to ye aadmi kahne ko bashar lagta hai
ye jo aangan hai ye bazar tak aa pahuncha hai
ab mera ghar bhi to ek rahguzar lagta hai
jis ki buniyaad mein iKHlas-o-mohabbat ho rawan
phir usi peD pe KHushiyon ka samar lagta hai
meri har baat pe tum ko jo yaqin hai 'sahil'
is qadar sada-mizaji se bhi Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.