bina bole jo tumne kal kaha hai
binā bole jo tum ne kal kahā hai
hamārā dil zarā baiThā huā hai
usī khiḌkī pe baiThā chāñd hai phir
zamāna kitnā aage baḌh gayā hai
ye maanā ham bahakne lag ga.e the
zarā samjho ki ye nashsha nayā hai
vo titlī phuul jañgal jharnā ab bhī
baḌā chup-chāp dekheñ rāsta hai
gumāñ hai kuchh ziyāda tum ko ḳhud pe
ye mat bhūlo nayā ye silsila hai
bina bole jo tum ne kal kaha hai
hamara dil zara baiTha hua hai
usi khiDki pe baiTha chand hai phir
zamana kitna aage baDh gaya hai
ye mana hum bahakne lag gae the
zara samjho ki ye nashsha naya hai
wo titli phul jangal jharna ab bhi
baDa chup-chap dekhen rasta hai
guman hai kuchh ziyaada tum ko KHud pe
ye mat bhulo naya ye silsila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.