bina-e-arz-o-falak harf-e-ibtida hun main
Interesting Fact
1972
binā-e-arz-o-falak harf-e-ibtidā huuñ maiñ
bikhar gayā to samajh lo ki intihā huuñ maiñ
yūñhī sulagte raho aag kī qabā huuñ maiñ
tumheñ bachā.uñgā kyā ḳhud sulag rahā huuñ maiñ
uThā.e phirtā huuñ be-shaḳhsiyat badan apnā
aur apne gum-shuda chehre ko DhūñDhtā huuñ maiñ
ye kohar kohar se chehre dhuāñ dhuāñ āvāz
tumhāre shahr meñ shāyad abhī nayā huuñ maiñ
lahū lahū sī khañDar kī tamām īñTeñ haiñ
kahāñ se niklūñ ki ik āh-e-nā-rasā huuñ maiñ
na.ī hai mashq na jaane kahāñ pe gir jā.ūñ
nafas kī Dor pe kartab dikhā rahā huuñ maiñ
'kamāl' jhuuT hai yaaro faqat fareb hai vo
'kamāl' sach ko abhī tak talāshtā huuñ maiñ
bina-e-arz-o-falak harf-e-ibtida hun main
bikhar gaya to samajh lo ki intiha hun main
yunhi sulagte raho aag ki qaba hun main
tumhein bachaunga kya KHud sulag raha hun main
uThae phirta hun be-shaKHsiyat badan apna
aur apne gum-shuda chehre ko DhunDhta hun main
ye kohar kohar se chehre dhuan dhuan aawaz
tumhaare shahr mein shayad abhi naya hun main
lahu lahu si khanDar ki tamam inTen hain
kahan se niklun ki ek aah-e-na-rasa hun main
nai hai mashq na jaane kahan pe gir jaun
nafas ki Dor pe kartab dikha raha hun main
'kamal' jhuT hai yaro faqat fareb hai wo
'kamal' sach ko abhi tak talashta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.