bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main
binā-e-sajda huuñ sajde kī ibtidā huuñ maiñ
jo ḳhud-numā haiñ vo dekheñ ḳhudā-numā huuñ maiñ
mirā vajūd hai elān-e-kalima-e-tauhīd
jahāñ meñ ġhaib se aa.ī huī nidā huuñ maiñ
mujhe sulā.egī ab kyā havā-e-ḳhvāb-e-fanā
ziyā-e-husn se bedār ho chukā huuñ maiñ
ajal kā kaam nahīñ merī hall-e-mushkil meñ
ki manzil-e-ġham-e-hastī se baḌh gayā huuñ maiñ
kashish mirī yahīñ manzil ko khīñch lā.egī
yahī to naaz hai mujh ko shikasta-pā huuñ maiñ
jabīn-e-shauq ko kyā imtiyāz-e-dair-o-haram
kise ḳhabar hai ki kis dar pe jibah-sā huuñ maiñ
kisī kī lauh-e-jabīñ par shikan ye kahtī hai
ki be-ḳhudī meñ koī raaz kah gayā huuñ maiñ
bas ai talātum-e-tūfān-e-ārzū bas kar
ki ab tabāh safīne kā nāḳhudā huuñ maiñ
ma.āl-e-kashmakash-e-dard kuchh huā 'hirmāñ'
sunā hai maut kī ik niiñd le rahā huuñ maiñ
bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main
jo KHud-numa hain wo dekhen KHuda-numa hun main
mera wajud hai elan-e-kalima-e-tauhid
jahan mein ghaib se aai hui nida hun main
mujhe sulaegi ab kya hawa-e-KHwab-e-fana
ziya-e-husn se bedar ho chuka hun main
ajal ka kaam nahin meri hall-e-mushkil mein
ki manzil-e-gham-e-hasti se baDh gaya hun main
kashish meri yahin manzil ko khinch laegi
yahi to naz hai mujh ko shikasta-pa hun main
jabin-e-shauq ko kya imtiyaz-e-dair-o-haram
kise KHabar hai ki kis dar pe jibah-sa hun main
kisi ki lauh-e-jabin par shikan ye kahti hai
ki be-KHudi mein koi raaz kah gaya hun main
bas ai talatum-e-tufan-e-arzu bas kar
ki ab tabah safine ka naKHuda hun main
maal-e-kashmakash-e-dard kuchh hua 'hirman'
suna hai maut ki ek nind le raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.