bina jaane kisi ke ho gae hum
binā jaane kisī ke ho ga.e ham
ġhubār-e-kārvāñ meñ kho ga.e ham
ragoñ meñ barf sī jamne lagī hai
sambhālo apnī yādoñ ko ga.e ham
tumhārī muskurāhaT rach ga.ī hai
har us ġhunche meñ jis par ro ga.e ham
kise ma.alūm kyā mahfil pe guzrī
fasāna kahte kahte so ga.e ham
tirī chāhat ke sannāToñ se Dar kar
hujūm-e-zindagī meñ kho ga.e ham
na raas aa.ī kisī kī chhāñv 'shohrat'
ḳhud apnī dhuup hī meñ so ga.e ham
bina jaane kisi ke ho gae hum
ghubar-e-karwan mein kho gae hum
ragon mein barf si jamne lagi hai
sambhaalo apni yaadon ko gae hum
tumhaari muskurahaT rach gai hai
har us ghunche mein jis par ro gae hum
kise malum kya mahfil pe guzri
fasana kahte kahte so gae hum
teri chahat ke sannaTon se Dar kar
hujum-e-zindagi mein kho gae hum
na ras aai kisi ki chhanw 'shohrat'
KHud apni dhup hi mein so gae hum
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 171)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.