bina mange safai de raha hai
binā māñge safā.ī de rahā hai
yahī mujrim dikhā.ī de rahā hai
mirā dushman hai mujh sā ḳhāndānī
jo haarā par badhā.ī de rahā hai
hare chāre kā lālach bakriyoñ ko
mahalle kā qasā.ī de rahā hai
vo daulat to nahīñ baḳhshegā lekin
vo apne tak rasā.ī de rahā hai
raqīboñ se ka.ī khaa.e haiñ dhoke
magar is baar bhaa.ī de rahā hai
bina mange safai de raha hai
yahi mujrim dikhai de raha hai
mera dushman hai mujh sa KHandani
jo haara par badhai de raha hai
hare chaare ka lalach bakriyon ko
mahalle ka qasai de raha hai
wo daulat to nahin baKHshega lekin
wo apne tak rasai de raha hai
raqibon se kai khae hain dhoke
magar is bar bhai de raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.