bina manzil ke raston ka safar apna raha hai
binā manzil ke rastoñ kā safar apnā rahā hai
mire dil meñ vo yak-tarfa mohabbat lā rahā hai
nahīñ ye jāntā nādāniyāñ apnī haiñ us kī
baḌā bechain sā dil hai jo us par aa rahā hai
nahīñ ruktā hai roke se baḌā mā'sūm dil hai
use apnā banāne par tulā hī jā rahā hai
ġham-e-furqat kā andāza lagā saktā nahīñ vo
taġhāful meñ ka.ī maujoñ se jo Takrā rahā hai
ki jab dekhā zamāne meñ 'ajab 'ālam ye dekhā
jise dekhā vo hasrat meñ marā hī jā rahā hai
bina manzil ke raston ka safar apna raha hai
mere dil mein wo yak-tarfa mohabbat la raha hai
nahin ye jaanta nadaniyan apni hain us ki
baDa bechain sa dil hai jo us par aa raha hai
nahin rukta hai roke se baDa ma'sum dil hai
use apna banane par tula hi ja raha hai
gham-e-furqat ka andaza laga sakta nahin wo
taghaful mein kai maujon se jo Takra raha hai
ki jab dekha zamane mein 'ajab 'alam ye dekha
jise dekha wo hasrat mein mara hi ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.