biphrai biphrai maujen koson dur kinara sa
biphrā.ī biphrā.ī maujeñ kosoñ duur kinārā sā
uupar bādal nīche jal-thal aañkh tale añdhiyārā sā
patjhaḌ kī kaalī rātoñ meñ āñkheñ chuñdhiyā jaatī haiñ
maazī kī amrā.ī se do logoñ kā lashkārā sā
pakte guḌ kī ḳhushbū phail ga.ī bhauñrālī rātoñ meñ
gaañv kā rasta Thumak Thumak kar man ko kare ishārā sā
us ko kyā ma.alūm nahīñ thā jogī kis ke miit hue
kuTiyā meñ do ek ghaḌī ko ho to gayā ujyārā sā
pākīza ehsās ke hāthoñ pyaas kī kaisī maut huī
ḳhushk laboñ par zabāñ phertā Dole badan hathiyārā sā
koī chamaktī sī shai merā pīchhā kartī rahtī hai
āñkheñ jidhar ghumā.ūñ ghūme usī tarah añgārā sā
bechāre ke paañv kabhī dahlīz kabhī darvāze par
ghuum rahā hai ghar meñ bañdhā bañdhā vo ik banjārā sā
biphrai biphrai maujen koson dur kinara sa
upar baadal niche jal-thal aankh tale andhiyara sa
patjhaD ki kali raaton mein aankhen chundhiya jati hain
mazi ki amrai se do logon ka lashkara sa
pakte guD ki KHushbu phail gai bhaunrali raaton mein
ganw ka rasta Thumak Thumak kar man ko kare ishaara sa
us ko kya malum nahin tha jogi kis ke mit hue
kuTiya mein do ek ghaDi ko ho to gaya ujyara sa
pakiza ehsas ke hathon pyas ki kaisi maut hui
KHushk labon par zaban pherta Dole badan hathiyara sa
koi chamakti si shai mera pichha karti rahti hai
aankhen jidhar ghumaun ghume usi tarah angara sa
bechaare ke panw kabhi dahliz kabhi darwaze par
ghum raha hai ghar mein bandha bandha wo ek banjara sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.