bisat dil ki bhala kya nigah-e-yar mein hai
bisāt dil kī bhalā kyā nigāh-e-yār meñ hai
ye shīsha TuuT bhī jaa.e to kis shumār meñ hai
ye jānte haiñ ki vo is taraf na aa.egā
ajab mazā sā magar us ke intizār meñ hai
bas ek zaḳhm-e-ḳhalish umr-bhar kī tanhā.ī
vahī to doge tumhāre jo iḳhtiyār meñ hai
vo khel khelne baiThe haiñ ḳhātma jis kā
tumhārī jiit meñ hai aur hamārī haar meñ hai
bisat dil ki bhala kya nigah-e-yar mein hai
ye shisha TuT bhi jae to kis shumar mein hai
ye jaante hain ki wo is taraf na aaega
ajab maza sa magar us ke intizar mein hai
bas ek zaKHm-e-KHalish umr-bhar ki tanhai
wahi to doge tumhaare jo iKHtiyar mein hai
wo khel khelne baiThe hain KHatma jis ka
tumhaari jit mein hai aur hamari haar mein hai
- Book : Haasil Yahee (Pg. 57)
- Author : Hasan Kamal
- Publication : Maktaba Jamia LTD (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.