bisat-e-dahr pe ek saKHt imtihan mein hun
bisāt-e-dahr pe ik saḳht imtihān meñ huuñ
shikasta-par huuñ magar phir bhī maiñ uḌaan meñ huuñ
na koī rang na ḳhushbū na raushnī kī jhalak
bahut dinoñ se kisī arz-e-be-nishān meñ huuñ
tirā ḳhayāl mere rat-jagoñ meñ shāmil hai
bichhaḌ ke tujh se abhī tak tirī amaan meñ huuñ
'ajab nahīñ ki zamāna na paḌh sake mujh ko
maiñ harf-e-haq huuñ magar ajnabī zabān meñ huuñ
'nadīm' suut kī anTī faqat mirī qīmat
sajā huā maiñ kisī shahr kī dukān meñ huuñ
bisat-e-dahr pe ek saKHt imtihan mein hun
shikasta-par hun magar phir bhi main uDan mein hun
na koi rang na KHushbu na raushni ki jhalak
bahut dinon se kisi arz-e-be-nishan mein hun
tera KHayal mere rat-jagon mein shamil hai
bichhaD ke tujh se abhi tak teri aman mein hun
'ajab nahin ki zamana na paDh sake mujh ko
main harf-e-haq hun magar ajnabi zaban mein hun
'nadim' sut ki anTi faqat meri qimat
saja hua main kisi shahr ki dukan mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.