bisat-e-waqt pe wo chaal chal raha hun main
bisāt-e-vaqt pe vo chaal chal rahā huuñ maiñ
ki apnī 'umr se aage nikal rahā huuñ maiñ
gumān tak nahīñ us ko mire taġhayyur kā
kuchh is salīqe se ḳhud ko badal rahā huuñ maiñ
nashe kī mauj meñ ye bhī na ho sakā mā'lūm
ki ye to aag kī lapTeñ masal rahā huuñ maiñ
ḳhud apnī diid kī ḳhvāhish hai mujh ko muddat se
ḳhud apne hijr kī hiddat meñ jal rahā huuñ maiñ
yahī to hai mire idrāk kī sazā 'mohsin'
sirāt-e-be-ḳhabarī par jo chal rahā huuñ maiñ
bisat-e-waqt pe wo chaal chal raha hun main
ki apni 'umr se aage nikal raha hun main
guman tak nahin us ko mere taghayyur ka
kuchh is saliqe se KHud ko badal raha hun main
nashe ki mauj mein ye bhi na ho saka ma'lum
ki ye to aag ki lapTen masal raha hun main
KHud apni did ki KHwahish hai mujh ko muddat se
KHud apne hijr ki hiddat mein jal raha hun main
yahi to hai mere idrak ki saza 'mohsin'
siraat-e-be-KHabari par jo chal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.