Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bistar-e-gham ko jhaDne mein raha

Amir Hamza Saqib

bistar-e-gham ko jhaDne mein raha

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    bistar-e-ġham ko jhāḌne meñ rahā

    ik yahī shaġhl rat-jage meñ rahā

    jāda-e-chashm se vo guzrā thā

    dil merā murāqabe meñ rahā

    ḳhirqa-e-zaḳhm hai na ḳhil'at-e-dāġh

    jaane maiñ kis ke silsile meñ rahā

    shaad bhī ho ki saarā 'arsa-e-nam

    merī āñkhoñ ke dā.ere meñ rahā

    āstāne pe dhuul uḌtī rahī

    murshid-e-vasl rāste meñ rahā

    bistar-e-gham ko jhaDne mein raha

    ek yahi shaghl rat-jage mein raha

    jada-e-chashm se wo guzra tha

    dil hi mera muraqabe mein raha

    KHirqa-e-zaKHm hai na KHil'at-e-dagh

    jaane main kis ke silsile mein raha

    shad bhi ho ki sara 'arsa-e-nam

    meri aankhon ke daere mein raha

    aastane pe dhul uDti rahi

    murshid-e-wasl raste mein raha

    Source :
    • Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 63)
    • Author : Ameer Hamza Saqib
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now