bistar-e-narm par wo sota hai
bistar-e-narm par wo sota hai
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
bistar-e-narm par vo sotā hai
yaañ pas-e-ḳhema koī rotā hai
dhyān mizhgān-e-āb-dār kā aah
dil meñ ik neshtar chubhotā hai
vasl us kā na pā.egā ai dil
kyoñ abas apnī jaan khotā hai
qatra-e-ashk kā asar dekho
ki kudūrat diloñ kī dhotā hai
jise kahte haiñ yaañ samundar sab
mere ashkoñ kā ek sotā hai
tū to ġharq-e-muhīt-e-ishq huā
haañ dilā mujh ko kyoñ Dubotā hai
ho shab-e-vasl-e-tālib-o-matlūb
kyā zamāne meñ yuuñ bhī hotā hai
sher kahtā hai is tarah ke 'zamīr'
jaise motī koī pirotā hai
bistar-e-narm par wo sota hai
yan pas-e-KHema koi rota hai
dhyan mizhgan-e-ab-dar ka aah
dil mein ek neshtar chubhota hai
wasl us ka na paega ai dil
kyon abas apni jaan khota hai
qatra-e-ashk ka asar dekho
ki kudurat dilon ki dhota hai
jise kahte hain yan samundar sab
mere ashkon ka ek sota hai
tu to gharq-e-muhit-e-ishq hua
han dila mujh ko kyon Dubota hai
ho shab-e-wasl-e-talib-o-matlub
kya zamane mein yun bhi hota hai
sher kahta hai is tarah ke 'zamir'
jaise moti koi pirota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.