bistar par bechain nirasha ke silwaT silwaT jage
bistar par bechain nirāshā ke silvaT silvaT jaage
tanhā.ī kī rām-duhā.ī ham karvaT karvaT jaage
koī saaya koī ḳhushbū koī sadā koī dastak
ummīdoñ kī sej sajā.e ham aahaT aahaT jaage
piit ke mīThe madhur manohar bol liye aatā hai koī
sāñjh kā Tiila bolā khiḌkī darvāze chaukhaT jaage
bhor huī to dhīre dhīre gītoñ ke saa.e ubhre
gāgar gāgar kañgan khanke so.e hue panghaT jaage
bansī kī mahkār uḌī to 'rahmānī' jī ne dekhā
līlā-darshī āñkheñ chamkīñ ghūñghaT ghūñghaT paT jaage
bistar par bechain nirasha ke silwaT silwaT jage
tanhai ki ram-duhai hum karwaT karwaT jage
koi saya koi KHushbu koi sada koi dastak
ummidon ki sej sajae hum aahaT aahaT jage
pit ke miThe madhur manohar bol liye aata hai koi
sanjh ka Tila bola khiDki darwaze chaukhaT jage
bhor hui to dhire dhire giton ke sae ubhre
gagar gagar kangan khanke soe hue panghaT jage
bansi ki mahkar uDi to 'rahmani' ji ne dekha
lila-darshi aankhen chamkin ghunghaT ghunghaT paT jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.