biThai jaengi parde mein bibayan kab tak
bi.Thā.ī jā.eñgī parde meñ bībayāñ kab tak
bane rahoge tum is mulk meñ miyāñ kab tak
haram-sarā kī hifāzat ko teġh hī na rahī
to kaam deñgī ye chilman kī tīliyāñ kab tak
miyāñ se biibī haiñ parda hai un ko farz magar
miyāñ kā ilm hī uTThā to phir miyāñ kab tak
tabī.atoñ kā numū hai havā-e-maġhrib meñ
ye ġhairateñ ye harārat ye garmiyāñ kab tak
avaam bāñdh leñ dohar to third vānTar meñ
second-o-first kī hoñ band khiḌkiyāñ kab tak
jo muñh dikhā.ī kī rasmoñ pe hai musir iblīs
chhupeñgī hazrat-e-havvā kī beTiyāñ kab tak
janāb hazrat-e-'akbar' haiñ hāmī-e-parda
magar vo kab tak aur un kī rubā.iyāñ kab tak
biThai jaengi parde mein bibayan kab tak
bane rahoge tum is mulk mein miyan kab tak
haram-sara ki hifazat ko tegh hi na rahi
to kaam dengi ye chilman ki tiliyan kab tak
miyan se bibi hain parda hai un ko farz magar
miyan ka ilm hi uTTha to phir miyan kab tak
tabiaton ka numu hai hawa-e-maghrib mein
ye ghairaten ye hararat ye garmiyan kab tak
awam bandh len dohar to third wanTar mein
second-o-first ki hon band khiDkiyan kab tak
jo munh dikhai ki rasmon pe hai musir iblis
chhupengi hazrat-e-hawwa ki beTiyan kab tak
janab hazrat-e-'akbar' hain hami-e-parda
magar wo kab tak aur un ki rubaiyan kab tak
- Book : Kulliyat-e-akbar (Pg. 185)
- Author : Sayed Akbar husain Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.