bojh apna sahaarte hain hum
bojh apnā sahārte haiñ ham
kaun sā tiir mārte haiñ ham
aañkh ke paar kis ḳhamoshī se
ek dariyā utārte haiñ ham
aur hañstā hai ā.īna ham par
aur ḳhud ko sañvārte haiñ ham
har na.ī shaam apne pahlū meñ
ek saa.e ko mārte haiñ ham
koī bhī to nahīñ hai koī bhī
jaane kis ko pukārte haiñ ham
bojh apna sahaarte hain hum
kaun sa tir marte hain hum
aankh ke par kis KHamoshi se
ek dariya utarte hain hum
aur hansta hai aaina hum par
aur KHud ko sanwarte hain hum
har nai sham apne pahlu mein
ek sae ko marte hain hum
koi bhi to nahin hai koi bhi
jaane kis ko pukarte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.