bojh bachchon ko uThane ki saza mat dena
bojh bachchoñ ko uThāne kī sazā mat denā
aur jiine kī buzurgoñ ko duā mat denā
gosha-e-dil meñ dabī ek jo chingārī hai
ḳhud bhaḌak jā.egī ik roz havā mat denā
ḳhud miTā deñge ye alfāz siyāhī apnī
bū-e-tahrīr hai kāġhaz pe jalā mat denā
are phaldār daraḳhtoñ pe bhī un kā haq hai
dekh shāḳhoñ se parindoñ ko uḌā mat denā
raat bhar jaag ke ta.amīr kiyā hai ye mahal
lafz-e-inkār se buniyād hilā mat denā
is ḳhatā par kahīñ mahshar meñ na rusvā.ī ho
aaj 'rāshid' ko nigāhoñ se girā mat denā
bojh bachchon ko uThane ki saza mat dena
aur jine ki buzurgon ko dua mat dena
gosha-e-dil mein dabi ek jo chingari hai
KHud bhaDak jaegi ek roz hawa mat dena
KHud miTa denge ye alfaz siyahi apni
bu-e-tahrir hai kaghaz pe jala mat dena
are phaldar daraKHton pe bhi un ka haq hai
dekh shaKHon se parindon ko uDa mat dena
raat bhar jag ke tamir kiya hai ye mahal
lafz-e-inkar se buniyaad hila mat dena
is KHata par kahin mahshar mein na ruswai ho
aaj 'rashid' ko nigahon se gira mat dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.