bojh dukh ka uTha nahin paya
bojh dukh kā uThā nahīñ paayā
dil bichāra nibhā nahīñ paayā
itnī quvvat nahīñ mire dil meñ
tere dil ko dukhā nahīñ paayā
mere dil kī suno ki merā dil
ek qissa sunā nahīñ paayā
aur ummīd kyā rakhūñ tujh se
ek rishta nibhā nahīñ paayā
kaT gayā bandagī meñ ye jīvan
maiñ ne phir bhī ḳhudā nahīñ paayā
tere aane kī thī mujhe ummīd
tū bhī mujh ko bhulā nahīñ paayā
bojh dukh ka uTha nahin paya
dil bichaara nibha nahin paya
itni quwwat nahin mere dil mein
tere dil ko dukha nahin paya
mere dil ki suno ki mera dil
ek qissa suna nahin paya
aur ummid kya rakhun tujh se
ek rishta nibha nahin paya
kaT gaya bandagi mein ye jiwan
main ne phir bhi KHuda nahin paya
tere aane ki thi mujhe ummid
tu bhi mujh ko bhula nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.