bojh hasti ka utar jaega aaKHir ek din
bojh hastī kā utar jā.egā āḳhir ik din
vaqt chupke se guzar jā.egā āḳhir ik din
shāḳh-e-gul par ye gul-e-tar kī hifāzat kab tak
ek jhoñke se bikhar jā.egā āḳhir ik din
mere naale ko na yuuñ tum nazar-andāz karo
arsh tak is kā asar jā.egā āḳhir ik din
hausla hai to phir andesha-e-fardā kaisā
kaam bigḌā bhī sañvar jā.egā āḳhir ik din
chand phūloñ ke tabassum pe qanā.at kaisī
baaġh hī saarā nikhar jā.egā āḳhir ik din
bojh hasti ka utar jaega aaKHir ek din
waqt chupke se guzar jaega aaKHir ek din
shaKH-e-gul par ye gul-e-tar ki hifazat kab tak
ek jhonke se bikhar jaega aaKHir ek din
mere nale ko na yun tum nazar-andaz karo
arsh tak is ka asar jaega aaKHir ek din
hausla hai to phir andesha-e-farda kaisa
kaam bigDa bhi sanwar jaega aaKHir ek din
chand phulon ke tabassum pe qanaat kaisi
bagh hi sara nikhar jaega aaKHir ek din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.