bojh uThae chalta rahega dariya pani ka
bojh uThā.e chaltā rahegā dariyā paanī kā
marte dam tak ḳhatm na hogā qissa paanī kā
sāhil sāhil dariyā dariyā aur samundar tak
paanī bhī kartā rahtā hai pīchhā paanī kā
jharnoñ se naddī ye bolī saath chalo tum bhī
saat samundar paar lagā hai melā paanī kā
ret kī maujeñ le ke baḌhā hai ḳhushkī kā tūfān
Dūbne vaalā DhūñD rahā hai tinkā paanī kā
jab tak haq se qīmat pā.egī merī qurbānī
aadhā haq sahrā kā hogā aadhā paanī kā
bojh uThae chalta rahega dariya pani ka
marte dam tak KHatm na hoga qissa pani ka
sahil sahil dariya dariya aur samundar tak
pani bhi karta rahta hai pichha pani ka
jharnon se naddi ye boli sath chalo tum bhi
sat samundar par laga hai mela pani ka
ret ki maujen le ke baDha hai KHushki ka tufan
Dubne wala DhunD raha hai tinka pani ka
jab tak haq se qimat paegi meri qurbani
aadha haq sahra ka hoga aadha pani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.