bojh uThae hue din raat kahan tak jata
bojh uThā.e hue din raat kahāñ tak jaatā
zindagānī meñ tire saath kahāñ tak jaatā
muḳhtasar ye ki maiñ bosa bhī ġhanīmat samjhā
yuuñ bhī daurān-e-mulāqāt kahāñ tak jaatā
sub.h hote hī sabhī ghar ko ravāna hoñge
qissa-e-daur-e-ḳharābāt kahāñ tak jaatā
thak gayā thā maiñ tire naam ko japte japte
le ke hoñToñ pe yahī baat kahāñ tak jaatā
chāñd taare to mire bas meñ nahīñ haiñ 'āzar'
phuul laayā huuñ mirā haath kahāñ tak jaatā
bojh uThae hue din raat kahan tak jata
zindagani mein tere sath kahan tak jata
muKHtasar ye ki main bosa bhi ghanimat samjha
yun bhi dauran-e-mulaqat kahan tak jata
subh hote hi sabhi ghar ko rawana honge
qissa-e-daur-e-KHarabaat kahan tak jata
thak gaya tha main tere nam ko japte japte
le ke honTon pe yahi baat kahan tak jata
chand tare to mere bas mein nahin hain 'azar'
phul laya hun mera hath kahan tak jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.