bojh yaadon ka Dho nahin pae
bojh yādoñ kā Dho nahīñ paa.e
daaġh dāman ke dho nahīñ paa.e
niiñd pahlū meñ raat ke jaagī
be-ḳhabar ham bhī so nahīñ paa.e
vo kisī ġhair kā banā sāthī
ham to ḳhud ke bhī ho nahīñ paa.e
ek muddat se ġham-zada ham haiñ
ek muddat se ro nahīñ paa.e
tujh se bichhḌe to ham adhūre the
phir mukammal bhī ho nahīñ paa.e
bojh yaadon ka Dho nahin pae
dagh daman ke dho nahin pae
nind pahlu mein raat ke jagi
be-KHabar hum bhi so nahin pae
wo kisi ghair ka bana sathi
hum to KHud ke bhi ho nahin pae
ek muddat se gham-zada hum hain
ek muddat se ro nahin pae
tujh se bichhDe to hum adhure the
phir mukammal bhi ho nahin pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.