bol duniya ke rasile ho gae
bol duniyā ke rasīle ho ga.e
phir ye lahje kyoñ kaTīle ho ga.e
itnī kam bārish meñ kyā hotā bhalā
ḳhushk patte sirf giile ho ga.e
ek gurda bik gayā to kyā huā
haath to beTī ke piile ho ga.e
chīthḌe pahle the ab ujlā kafan
mar ga.e to ham sajīle ho ga.e
zahr ugalnā jin kā sheva kal rahā
aaj un ke hoñT niile ho ga.e
jānte haiñ par nahīñ haiñ mānte
log 'nashtar' kyā haTīle ho ga.e
bol duniya ke rasile ho gae
phir ye lahje kyon kaTile ho gae
itni kam barish mein kya hota bhala
KHushk patte sirf gile ho gae
ek gurda bik gaya to kya hua
hath to beTi ke pile ho gae
chithDe pahle the ab ujla kafan
mar gae to hum sajile ho gae
zahr ugalna jin ka shewa kal raha
aaj un ke honT nile ho gae
jaante hain par nahin hain mante
log 'nashtar' kya haTile ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.