bolna chahiye jinko wo kahan bolte hain
bolnā chāhiye jin ko vo kahāñ bolte haiñ
ab to bas zulm ke har samt nishāñ bolte haiñ
lafz rusvā hoñ to phir ashk-e-ravāñ bolte haiñ
kūcha-e-yār meñ yuuñ dil-zadagāñ bolte haiñ
sirf dushman hī nahīñ rakhte 'adāvat mujh se
mere yāroñ ke bhī kuchh tīr-o-kamāñ bolte haiñ
vaise chup-chāp hī rahte haiñ tirī bazm meñ ham
bolte haiñ to mohabbat kī zabāñ bolte haiñ
aap ḳhāmosh haiñ kyoñ merī gavāhī ke liye
mere haq meñ to fulāñ-ibn-e-fulāñ bolte haiñ
aap ik lafz kaheñ mimbar-o-shāhī ke ḳhilāf
merī bābat to bahut sho’la-bayāñ bolte haiñ
sail-e-jamhūr se bachtā nahīñ taḳht-e-shāhī
jab kabhī teġh-ba-kaf pīr-o-javāñ bolte haiñ
āb-o-nāñ ke liye nāmūs gañvāte haiñ jab
muqtadir ke liye pīrān-e-muġhāñ bolte haiñ
apne maqsad se na ġhāfil ho ki is kā kyā ġham
yuuñ hī bāzār ke āvāra sagāñ bolte haiñ
barsar-e-ḳhāk bhī kuchh lutf ho ai abr-e-karam
dasht-o-sahrā meñ bahut tishna-labāñ bolte haiñ
ye alamnāk fazā bhī hai qayāmat 'rāhī'
sab haiñ chup-chāp makīñ aur makāñ bolte haiñ
bolna chahiye jin ko wo kahan bolte hain
ab to bas zulm ke har samt nishan bolte hain
lafz ruswa hon to phir ashk-e-rawan bolte hain
kucha-e-yar mein yun dil-zadagan bolte hain
sirf dushman hi nahin rakhte 'adawat mujh se
mere yaron ke bhi kuchh tir-o-kaman bolte hain
waise chup-chap hi rahte hain teri bazm mein hum
bolte hain to mohabbat ki zaban bolte hain
aap KHamosh hain kyon meri gawahi ke liye
mere haq mein to fulan-ibn-e-fulan bolte hain
aap ek lafz kahen mimbar-o-shahi ke KHilaf
meri babat to bahut sho’la-bayan bolte hain
sail-e-jamhur se bachta nahin taKHt-e-shahi
jab kabhi tegh-ba-kaf pir-o-jawan bolte hain
aab-o-nan ke liye namus ganwate hain jab
muqtadir ke liye piran-e-mughan bolte hain
apne maqsad se na ghafil ho ki is ka kya gham
yun hi bazar ke aawara sagan bolte hain
barsar-e-KHak bhi kuchh lutf ho ai abr-e-karam
dasht-o-sahra mein bahut tishna-laban bolte hain
ye alamnak faza bhi hai qayamat 'rahi'
sab hain chup-chap makin aur makan bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.