bolne ki bhi yahan qimat chukai ja rahi hai
bolne kī bhī yahāñ qīmat chukā.ī jā rahī hai
din dahāḌe sach kī ab gardan dabā.ī jā rahī hai
haiñ pareshāñ is ḳhabar se ye siyāsat karne vaale
mulk meñ dīvār nafrat kī girā.ī jā rahī hai
ik taraf logoñ se sach kahne ko bolā jā rahā hai
ik taraf kuchh jhūToñ kī mahfil sajā.ī jā rahī hai
shāhoñ ko chhup chhup ke bedardī se luuTā jā rahā hai
tāj-poshī choroñ kī khul kar karā.ī jā rahī hai
kyoñ milī hai zindagī ham ko vahāñ 'kāshif' jahāñ par
saañs le kar rasm marne kī nibhā.ī jā rahī hai
bolne ki bhi yahan qimat chukai ja rahi hai
din dahaDe sach ki ab gardan dabai ja rahi hai
hain pareshan is KHabar se ye siyasat karne wale
mulk mein diwar nafrat ki girai ja rahi hai
ek taraf logon se sach kahne ko bola ja raha hai
ek taraf kuchh jhuTon ki mahfil sajai ja rahi hai
shahon ko chhup chhup ke bedardi se luTa ja raha hai
taj-poshi choron ki khul kar karai ja rahi hai
kyon mili hai zindagi hum ko wahan 'kashif' jahan par
sans le kar rasm marne ki nibhai ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.