bolti aankhen dekhin jagte lab dekhen
boltī āñkheñ dekhīñ jāgte lab dekheñ
jo sūrat ham ne dekhī hai sab dekheñ
jaane fazā meñ kab chaltī hai mauj-e-havā
bādal haT kar chāñd dikhā.e kab dekheñ
āñkheñ band kareñ to kyā kyā jalve haiñ
har sū ghor añdhere lapkeñ jab dekheñ
chandā chamke kaliyāñ chaTkīñ phuul khileñ
jis din us ko dekheñ ḳhvāb ajab dekheñ
jism ik rāhguzar hai dil miTTī kā diyā
gul hotā hai kab ye charāġh-e-shab dekheñ
shāyad nūr-e-sahar phailā ho ab har sū
'ārif' dil par patthar rakh kar ab dekheñ
bolti aankhen dekhin jagte lab dekhen
jo surat hum ne dekhi hai sab dekhen
jaane faza mein kab chalti hai mauj-e-hawa
baadal haT kar chand dikhae kab dekhen
aankhen band karen to kya kya jalwe hain
har su ghor andhere lapken jab dekhen
chanda chamke kaliyan chaTkin phul khilen
jis din us ko dekhen KHwab ajab dekhen
jism ek rahguzar hai dil miTTi ka diya
gul hota hai kab ye charagh-e-shab dekhen
shayad nur-e-sahar phaila ho ab har su
'arif' dil par patthar rakh kar ab dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.