bosa ek peshani pe rakkha hua hai
bosa ik peshānī pe rakkhā huā hai
sab manzar hairānī pe rakkhā huā hai
pichhlā jhagḌā do pal meñ bhūlne ko
ye malba nādānī pe rakhā huā hai
phir ātish rasta mujh ko DhūñDhtā hai
paañv maiñ ne paanī pe rakkhā huā hai
zinda murda yādeñ sabhī paar lagīñ
dil dariyā tuġhyānī pe rakhā huā hai
mushkil meñ rakkhā hai ham ne dil ko
aur ḳhud ko āsānī pe rakkhā huā hai
āñkhoñ ko vīrāne se milnī hai ġhizā
vīrāne ko vīrānī pe rakkhā huā hai
bosa ek peshani pe rakkha hua hai
sab manzar hairani pe rakkha hua hai
pichhla jhagDa do pal mein bhulne ko
ye malba nadani pe rakha hua hai
phir aatish rasta mujh ko DhunDhta hai
panw main ne pani pe rakkha hua hai
zinda murda yaaden sabhi par lagin
dil dariya tughyani pe rakha hua hai
mushkil mein rakkha hai hum ne dil ko
aur KHud ko aasani pe rakkha hua hai
aankhon ko virane se milni hai ghiza
virane ko virani pe rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.