bosa liya jo chashm ka bimar ho gae
bosa liyā jo chashm kā bīmār ho ga.e
zulfeñ chūīñ balā meñ giraftār ho ga.e
sakta hai baiThe sāmne takte haiñ un kī shakl
kyā ham bhī aks-e-ā.īna-e-yār ho ga.e
baiThe tumhāre dar pe to jumbish talak na kī
aise jame ki sāya-e-dīvār ho ga.e
ham ko to un ke ḳhanjar-e-abrū ke ishq meñ
din zindagī ke kāTne dushvār ho ga.e
bosa liya jo chashm ka bimar ho gae
zulfen chuin bala mein giraftar ho gae
sakta hai baiThe samne takte hain un ki shakl
kya hum bhi aks-e-aina-e-yar ho gae
baiThe tumhaare dar pe to jumbish talak na ki
aise jame ki saya-e-diwar ho gae
hum ko to un ke KHanjar-e-abru ke ishq mein
din zindagi ke kaTne dushwar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.