bosida jism-o-jaan ki qabaen liye hue
bosīda jism-o-jāñ kī qabā.eñ liye hue
sahrā meñ phir rahā huuñ balā.eñ liye hue
dil vo ajiib shahr ki jis kī fasīl par
nāzil huā hai ishq balā.eñ liye hue
maiñ vahshat-e-junūñ huuñ mirī musht-e-ḳhāk ko
phirtī haiñ dar-ba-dar ye havā.eñ liye hue
dekhā baġhaur apnī ḳhudī kā jo aa.ina
ubhre hazār chehre ḳhatā.eñ liye hue
ik shor gūñjtā hai musalsal ḳhalāoñ meñ
hai lafz-e-kun bhī kitnī sadā.eñ liye hue
bosida jism-o-jaan ki qabaen liye hue
sahra mein phir raha hun balaen liye hue
dil wo ajib shahr ki jis ki fasil par
nazil hua hai ishq balaen liye hue
main wahshat-e-junun hun meri musht-e-KHak ko
phirti hain dar-ba-dar ye hawaen liye hue
dekha baghaur apni KHudi ka jo aaina
ubhre hazar chehre KHataen liye hue
ek shor gunjta hai musalsal KHalaon mein
hai lafz-e-kun bhi kitni sadaen liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.