boson ki miThi nahr ke alhaD bahaw mein
bosoñ kī mīThī nahr ke alhaḌ bahāv meñ
mahv-e-safar hai chāñd javānī kī naav meñ
misroñ se chheḌ-chhāḌ kā anjām ye huā
charbe kī piip paḌ ga.ī kāġhaz ke ghaav meñ
joban kī giilī lakḌiyāñ dene lagīñ dhuāñ
do jism jal rahe haiñ milan ke alaav meñ
kuchh she'r gir ke mar ga.e sīḌhī se fikr kī
kuchh she'r faut ho ga.e zehnī dabāv meñ
nā-qadrī-e-suḳhan kā yahī ik 'ilāj hai
ġhazloñ ko bech dījiye raddī ke bhaav meñ
boson ki miThi nahr ke alhaD bahaw mein
mahw-e-safar hai chand jawani ki naw mein
misron se chheD-chhaD ka anjam ye hua
charbe ki pip paD gai kaghaz ke ghaw mein
joban ki gili lakDiyan dene lagin dhuan
do jism jal rahe hain milan ke alaw mein
kuchh she'r gir ke mar gae siDhi se fikr ki
kuchh she'r faut ho gae zehni dabaw mein
na-qadri-e-suKHan ka yahi ek 'ilaj hai
ghazlon ko bech dijiye raddi ke bhaw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.