bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par
bujh ga.iiñ aqloñ kī āñkheñ gal ga.e jazboñ ke par
kohr ke kīchaḌ meñ taḌpe haiñ parinde rāt-bhar
jaane phir kin daldaloñ se āḳhirī āvāz deñ
apnī be-manshūr umreñ apne be-manzil safar
mere bāhar chār-sū martī sadāoñ kā sarāb
tū bikharnā chāhtā hai to mire andar bikhar
tū kañval kī shakl meñ phūTegā apnī zaat se
jism kī ḳhvāhish ke gahre pāniyoñ meñ bhī utar
phir mirī miTTī meñ apnī chāhatoñ kī sūñghnā
pahle merī saañs ke sunsān jañgal se guzar
dil meñ 'nāsik' rah ga.ī haiñ aarzū kī do laveñ
ek ḳhush aadat sī laḌkī aur ik chhoTā sā ghar
bujh gain aqlon ki aankhen gal gae jazbon ke par
kohr ke kichaD mein taDpe hain parinde raat-bhar
jaane phir kin daldalon se aaKHiri aawaz den
apni be-manshur umren apne be-manzil safar
mere bahar chaar-su marti sadaon ka sarab
tu bikharna chahta hai to mere andar bikhar
tu kanwal ki shakl mein phuTega apni zat se
jism ki KHwahish ke gahre paniyon mein bhi utar
phir meri miTTi mein apni chahaton ki sunghna
pahle meri sans ke sunsan jangal se guzar
dil mein 'nasik' rah gai hain aarzu ki do lawen
ek KHush aadat si laDki aur ek chhoTa sa ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.