bujh jae dil bashar ka to usko shifa se kya
bujh jaa.e dil bashar kā to us ko shifā se kyā
kis darja hogī kārgar us ko davā se kyā
jhulsā ke rakh diyā jise bād-e-sumūm ne
ġhunchoñ se kyā ġharaz use bād-e-sabā se kyā
do vaqt jis ġharīb ko roTī na ho nasīb
maz.hab kā kyā kare use zikr-e-ḳhudā se kyā
rahne ko jhoñpaḌā bhī na jis shaḳhs ko mile
us ko sazā kī fikr kyā us ko jazā se kyā
jis ke badan pe gosht dikhā.ī na de kahīñ
us aadmī ko ruuh kī nash-o-numā se kyā
tañg aa chukā ho kashmakash-e-zindagī se jo
kyā mah-vashoñ se kaam use dilrubā se kyā
fikr-e-ma.āsh hī se na fursat mile jise
sher-o-adab se kyā use mehr-o-vafā se kyā
suntā ho jo zamīr kī āvāz dosto
us ko kisī ḳhizar se kisī rahnumā se kyā
rahtā ho apnī zaat meñ jo mast har ghaḌī
us ko sarā-e-dahr kī āb-o-havā se kyā
kahnā ho jo bhī aap use barmalā kaheñ
lafzoñ ke her-pher se tarz-e-adā se kyā
bujh jae dil bashar ka to us ko shifa se kya
kis darja hogi kargar us ko dawa se kya
jhulsa ke rakh diya jise baad-e-sumum ne
ghunchon se kya gharaz use baad-e-saba se kya
do waqt jis gharib ko roTi na ho nasib
mazhab ka kya kare use zikr-e-KHuda se kya
rahne ko jhonpaDa bhi na jis shaKHs ko mile
us ko saza ki fikr kya us ko jaza se kya
jis ke badan pe gosht dikhai na de kahin
us aadmi ko ruh ki nash-o-numa se kya
tang aa chuka ho kashmakash-e-zindagi se jo
kya mah-washon se kaam use dilruba se kya
fikr-e-maash hi se na fursat mile jise
sher-o-adab se kya use mehr-o-wafa se kya
sunta ho jo zamir ki aawaz dosto
us ko kisi KHizar se kisi rahnuma se kya
rahta ho apni zat mein jo mast har ghaDi
us ko sara-e-dahr ki aab-o-hawa se kya
kahna ho jo bhi aap use barmala kahen
lafzon ke her-pher se tarz-e-ada se kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.