bujh na jae mera diya sain
bujh na jaa.e mirā diyā sā.īñ
tez hone lagī havā sā.īñ
tū hī sun le ki tū hī suntā hai
kaun suntā hai phir duā sā.īñ
ghar jalānā banā ke duniyā bhī
band ho ab ye silsila sā.īñ
apne dariyā hī pī na le dhartī
ab to barsā koī ghaTā sā.īñ
mujh talak aa ke lauT jaa.e vo
kaun detā hai yuuñ sadā sā.īñ
kuchh to saaya ho sar pe 'jauhar' ke
dhuup karne lagī gila sā.īñ
bujh na jae mera diya sain
tez hone lagi hawa sain
tu hi sun le ki tu hi sunta hai
kaun sunta hai phir dua sain
ghar jalana bana ke duniya bhi
band ho ab ye silsila sain
apne dariya hi pi na le dharti
ab to barsa koi ghaTa sain
mujh talak aa ke lauT jae wo
kaun deta hai yun sada sain
kuchh to saya ho sar pe 'jauhar' ke
dhup karne lagi gila sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.