bujha bujha ke jalata hai dil ka shoala kaun
bujhā bujhā ke jalātā hai dil kā sho.ala kaun
dikhā rahā hai mujhī ko mirā tamāsha kaun
sabhī ke chehroñ pe mehr-o-vafā kā ġhāza hai
kahūñ ye kaise parāyā hai kaun apnā
ḳhushī kī bazm meñ ham-raqs haiñ sabhī lekin
karegā paar mire saath ġham kā dariyā kaun
bahār aa.ī hai lekin khile haiñ aag ke phuul
har ik daraḳht meñ rakh kar gayā hai sho.ala kaun
ye phuul rañg sitāre fazā kī ra.anā.ī
uThā ke bhuul gayā apne ruḳh se parda kaun
yaqīn thā use aanā hai ek din lekin
achānak aa.ī to dil ne dhaḌak ke pūchhā kaun
varaq varaq pe mohabbat kī dāstāñ likh kar
'sarosh' soch rahā huuñ use paḌhegā kaun
bujha bujha ke jalata hai dil ka shoala kaun
dikha raha hai mujhi ko mera tamasha kaun
sabhi ke chehron pe mehr-o-wafa ka ghaza hai
kahun ye kaise paraya hai kaun apna
KHushi ki bazm mein ham-raqs hain sabhi lekin
karega par mere sath gham ka dariya kaun
bahaar aai hai lekin khile hain aag ke phul
har ek daraKHt mein rakh kar gaya hai shoala kaun
ye phul rang sitare faza ki ranai
uTha ke bhul gaya apne ruKH se parda kaun
yaqin tha use aana hai ek din lekin
achanak aai to dil ne dhaDak ke puchha kaun
waraq waraq pe mohabbat ki dastan likh kar
'sarosh' soch raha hun use paDhega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.