bujha bujha sa charagh-e-sar-e-mazar hun mein
bujhā bujhā sā charāġh-e-sar-e-mazār huuñ meñ
ḳhizāñ ne jis ko sañvārā hai vo bahār huuñ maiñ
vo jis pe ġhair bhī rote haiñ aaTh aaTh aañsū
vo ek mahfil-e-māzī kī yādgār huuñ maiñ
jo tere dāman-e-rahmat kī aabrū rakh le
mire karīm vahī ik gunāhgār huuñ maiñ
nigāh ho to zarā dekh ālam-e-taḳhrīb
ajal kī god meñ qudrat kā shāhkār huuñ maiñ
hañsā hañsā ke rulāyā gayā huuñ saarī umr
sitam-zarīfī-e-fitrat kā shāhkār huuñ maiñ
na pūchh āh-e-mohabbat kī zindagī 'raushan'
ḳhizāñ kī shakl meñ parvarda-e-bahār huuñ maiñ
bujha bujha sa charagh-e-sar-e-mazar hun mein
KHizan ne jis ko sanwara hai wo bahaar hun main
wo jis pe ghair bhi rote hain aaTh aaTh aansu
wo ek mahfil-e-mazi ki yaadgar hun main
jo tere daman-e-rahmat ki aabru rakh le
mere karim wahi ek gunahgar hun main
nigah ho to zara dekh aalam-e-taKHrib
ajal ki god mein qudrat ka shahkar hun main
hansa hansa ke rulaya gaya hun sari umr
sitam-zarifi-e-fitrat ka shahkar hun main
na puchh aah-e-mohabbat ki zindagi 'raushan'
KHizan ki shakl mein parwarda-e-bahaar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.