bujha Dale hawa ne shahr ke sare diye par
bujha Dale hawa ne shahr ke sare diye par
Chandra Shekhar Varma
MORE BYChandra Shekhar Varma
bujhā Daale havā ne shahr ke saare diye par
use afsos rattī-bhar nahīñ apne kiye par
ye mat pūchho ki kitnī martaba ham ne nikālā
tumhāre ḳhat nahīñ aane kā ġhussa Dākiye par
vo jab tak uḌ rahī thī ho nahīñ paayā ye mumkin
hai chiḌiyā ab qafas meñ chain se gin lījiye par
sunī hai jab se ham ne bheḌiyā aayā kahānī
yaqīñ insān par kam hai ziyāda bheḌiye par
nikālī jā.egī ab khaal is kī dekhnā tum
milā hai jo tumhārā baal mere tauliye par
bujha Dale hawa ne shahr ke sare diye par
use afsos ratti-bhar nahin apne kiye par
ye mat puchho ki kitni martaba hum ne nikala
tumhaare KHat nahin aane ka ghussa Dakiye par
wo jab tak uD rahi thi ho nahin paya ye mumkin
hai chiDiya ab qafas mein chain se gin lijiye par
suni hai jab se hum ne bheDiya aaya kahani
yaqin insan par kam hai ziyaada bheDiye par
nikali jaegi ab khaal is ki dekhna tum
mila hai jo tumhaara baal mere tauliye par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.