bujha ho dil to bahaaron ko bhi KHizan kahiye
bujhā ho dil to bahāroñ ko bhī ḳhizāñ kahiye
har ek phuul ko tashbīh-e-zaḳhm-e-jāñ kahiye
guzar rahe haiñ nazar se to anginat chehre
savāl ye hai kise apnā rāzdāñ kahiye
hai jis kā zikr sahīfoñ meñ ‘ahd-e-māzī ke
kahāñ hai sar pe mire ab vo āsmāñ kahiye
taheñ shu'ūr kī khultī raheñgī tā-ba-hayāt
abhī yaqīn-e-ta’ayyun ko bhī gumāñ kahiye
'niyāz' zaḳhm-e-tamannā haiñ mere siine meñ
mujhe nigār-e-mohabbat kā rāz-dāñ kahiye
bujha ho dil to bahaaron ko bhi KHizan kahiye
har ek phul ko tashbih-e-zaKHm-e-jaan kahiye
guzar rahe hain nazar se to anginat chehre
sawal ye hai kise apna raazdan kahiye
hai jis ka zikr sahifon mein ‘ahd-e-mazi ke
kahan hai sar pe mere ab wo aasman kahiye
tahen shu'ur ki khulti rahengi ta-ba-hayat
abhi yaqin-e-ta’ayyun ko bhi guman kahiye
'niyaz' zaKHm-e-tamanna hain mere sine mein
mujhe nigar-e-mohabbat ka raaz-dan kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.